Har pal mujhe hai dikhta wo tera muskurana,
Apni hasi se tera sabko kareeb laana,
Milkar tujhe jo bhoole wo insaan mil na paaye,
Wo fan kahan hai sabme yun dil ko chhu ke jaana.
Na maanga tune kuch bhi, na chaha kuch bhi mujhse,
Meri khushi ko samjha duniya mein azeez sabse,
Haari ya giri jab main thama tha haath mera,
Milta hai kahan sabko aisa bhi dost rab se.
Ki lakh tujhse baatein, aur lakh mastiyan bhi,
Jab galtiyan ki maine, ki tune sakhtiyan bhi,
Roothne manane ki baari jab bhi aayi,
Bin soche humne de di duje ko maafiyan bhi.
Kaanon ki bali teri maani hamesha apni,
Bin puche le li maine jo cheez tune pehni,
Roop tere jaisa kyun mujhko na mila hai,
Jo meri shikayat thi, ab mujhko bas hai sehni.
Dil mera kyun na maane wo kal chala gaya hai,
Jo socha na tha hona aakhir wo ho gaya hai,
Na rok paaya koi is baar jab gayi tu,
Dhoka ye bura tera bahot zor se khaya hai.
Ma nahi thi meri, tu meri saheli thi,
Khoya tujhe to jaana, bin tere akeli thi,
Teri chhavi hai mujhme par baat wo nahi hai,
Pal kat rahe pehle se, par tab wo zindagi thi.
© This site A Vibrant Palette is the property of Varsha Bagadia. Unauthorized use and/or duplication of this material without express and written permission from this site’s author and/or owner is strictly prohibited. Excerpts and links may be used, provided that full and clear credit is given to Varsha Bagadia and A Vibrant Palette with appropriate and specific direction to the original content.
Hugsssss
Thanks hitchy…hugsss
That is heart touching. . Beautiful.
Very emotional
Thanks Bikramjit..
Very emotional…beautiful!
Thanks Alok..