Me, Poetic thoughts, Whines and whispers

Jo badal gaya

Mila na kahin pe mujhe aks mera,
Khuli aur band aankhon mein dhunda bhi maine.
Nazar aaya jo, shaks koi alag tha,
Jise jaane kyun nahi pehchana maine.

Hasi usme meri, thi meri hi baatein,
Par khwab na the mere, na dil bhi mera tha.
Befikri mein bitaye wo pal the mere se,
Par suljha de meri uljhan, na kahin wo sira tha.

Zindagi har pal itni badalti rahi ki,
Mehsoos hote hi lamha jaata raha.
Mutthi mein na the sapne, na hi waade the kal ke,
Bas saath waqt ke mujhme hi kuch badalta raha.

Liked what you read? Tell me. Thanks!