Love, Poetic thoughts

Kuch pal saath saath

Neend mein nahi thi aur na jaagi hi thi main
Na jaane thi kahan pe, kyun gum thi kahin main
Ehsaas ne tere aise mujhko ghayal kar diya
Ki madhosh bhi thi aur kuch behosh thi main.

Aankhon ne har taraf tumhe dhundna chaha
Nazar na aaye tum to kuch naaraaz thi main
Dil mein shor hua kuch phir dhadkanon ka aise
Ki baatein thi tumhari, bas awaz thi main.

Wo hawa ka jhonka jo mujhe chhu gaya tha
Khushboo tumhari usme dhundti rahi main
Baahon mein khudko maine le liya phir aise
Ki tum mein milkar jaise ek ho gayi main.

2 thoughts on “Kuch pal saath saath

Liked what you read? Tell me. Thanks!